ROZA KAISAY RAKHNAY CHAHIYE

Aey iman walo rozay tum par farz kiye gaye, jaisay kay tumsay pehlay walo par farz kiye gaye thay, taki tum takwa aur parhezgari ikhtiyar karo( al quran)

Allah rabbul izzat nay humko rozay ka hukum diya taki hum takwa ikhtiyar karay, roza jism aur rooh ko paak karnay ka naam hai, rozay main humko khanay, peenay, sohbat say mana kiya gaya hai, in chezo say jism paak rehta hai par humko hamari soch ko khyal ko dil ko har na paak khayal jo maula say gafil karay usay pak rakhna hai tab ye roza mukamal hoga.

Aqa (sal lal laho tala alaihi wasalam) nay ek aurat ko dekha ki wo apni khadima ko gali de rahy thi rozay ki halat main. Aqa (sal lal laho tala alaihi wasalam) us aurat say kaha ki apna roza tod dey us aurat nay kaha kyu, Rasool Allah (sal lal laho tala alaihi wasalam) nay jawab diya ki kya tumhay khabar nahi ki tumhara roza us ladki ko gali denay par toot nahi gaya ?

Imam jafar sadiq (radiALLAHUanhu) farmatay hai tumhra roza aisa nahi hona chaye, haqiqi roza usay kehtay hai jab tumharay sath tumhary jism kay saray aza roza rakhay....iski agay wazahat kartay huwey main iska khulsa karta hu.

Ankh: Apni ankho ko har cheez jo mana ki gaye hai jaisay gair mehram usay door rakho, gandi filmi, tv dekhna, gandi magzine dekhna, ganday msg padhna aur har cheez jiki manaye hai usay door rahay aur zyda say zyda waqt quran aur hadees ki tilawat, taswur e shaikh aur dua yaad karnay main guzaro.

Kaan : Apnay kaan ko gibat, chugli, filmi ganay, jhoot, aur gandi bato say door rakho, usay zyda say zyda quran ki qirat, taqreer, islamic bayan, aur aisa chezay jisay iman taza aur mazboot ho wo sunay.

Zaban : Apni zaban say jhoot, gibat, chugli, filmi ganay, aur gandi baat na karo usay zyda say zyda quran ki tilawat, deeni kitabay, darrod paak, naat o manqabat padhnay main guzaray.

Hath: Apnay hath say kisi gair ko taklif na do yaha tak ki Allah ki chotu si choti makhluk ko tumsay chot na pahuchey....jab bhi hath uthay to kisi kay madad kay liye deen ki falah kay liye.

Pair: Apnay kadmo say aisi jagah na jao jahan janay kay liye manaye hai, jaisay cinema hall, kisi ladki say milnay, koi gandi jagah, na logo ko beech ikhtelaf paida karo jakar, isay acha ki tum masjid jao, Awliya ki mazar par hazri do, kisi naat ki mehfil main jao kisi gareeb ki madar karo safar tay karkay.

Jab in chezo par jo upar batyegaye hai, amal kartay huwey aap zahir aur batin dono ka roza rakhygy tab jakar is rozay main nikar ayga aur ye roza Allah ki bargah main maqbool hoga. Allah nay aisay rozay kay liye hi kaha hai ki rozedar ka inam main khud hun. Humko apni zaat ka muhsaba karna chaye ki wakye main hum us tarah ka roaza rakh rakahy hai ki humko inam itna ala mila socheyga zaroor.

@ Dars Gahe Sarkar Fazle Rehma Ganj Muradabadi (rehmatullah alaih)

Plz visit : hazratfazlerehman.com

KUNDEY KI HAQIQAT

22 rajjab imame jafar Sadiq radiyallaho anho ki niyaz kyu manaye jati hai?

Hijri san 122 rajjab ki 22 tarikh ki raat yani 21 ka din guzarkar 22 ki raat b'waqte namaze tahajjud Allah paak be syedana imame JAFAR Sadiq radiyallaho anho ko MAQQME GOSIYATE KUBRA aata farmaya.

Subhe 22rajjab ko Aap ne allah k janib se ye azim ne'mat Milne PR b'tore shukr ada karne k lie niyaz banwayi Jo dudh or chawal milakar banayi gayi jise hum khir kehte hai 

App khandane Rasul sallallaho alaihe o sallam ke chashmo chirag the aap k ghar me tuti chatayi or mitti k bartan hi the isi par Aap shakir o sabir the Aap mitti k piyale me niyaz rakhkar apne dost o ahbab ko bulakar farmaya k Aaj raat Allah paak ne mujhe maqame gousiyate kubra ata farmaya isi ka shukr ada karte huwe ye niyaz aap logo ko pesh karta hu aap k sahabzade imame MUSA KAZIM radiyallaho anho aur aap k digar musahebeen ne daryaft kiya (puchha)k is me hamare lie fayida hai.

Pls visit: hazratfazlerehman.com

Aap ne farmaya k Rabbe kaba ki qasam Allah ne Jo ne'mat mujhe Ata farmayi jis ka me shukr ada karta hu niyaz ki Shakal me isi tarah isi tarikh me Jo bhi shukr ada karega aur hamare wasile se Jo duwa mangega to Allah pak uski murad zarur puri farmaega aur duwa zarur qabul hogi Q ki Aallah paak apne shukr guzar bando ko mayus nahi farmata (subhanALLAH)

Pls visit: hazratfazlerehman.com

Imame JAFAR Sadiq radiyallaho anho k parpote Syedona imame HASAN askari radiyallaho anho se kuch dushmane ahle bait ne sawal kiya ke jab hamare ghar me pital tanbe k behtarin bartan mojud hai to mitti k Kudo ki kiya zarurat hai

Aap ne farmaya hamare NANA JAAN mohammadur rasulullah sallallaho alaihe o sallam ki sunnat hai mitti k baratan me khana 

Aaj musalmano ne hamare Nana jaan ki sunnato ko tark kar diya hai hum ne is niyaz ko mitti k piyalo me is lie zaruri karar diya taki kam az kam saal me ek 1 marataba hi Nana jaan ki ummat mitti k kundo me niyaz khakar sunnate rasul sallallaho alaihe o sallam ada hojae.

Kunde ka fatiha 22rajjab ko hi kare, 22rajjab na hi aap ke wisal ki tarikh hai na hai paidayishi tarikh 

Ye to aapko maqame gosiyate kubra Milne par ada ki jati hai.

Kuch ulema hazrat amir mawiya (radiALLAHUanhu) ka hawala detay hai ki 22 ko unki sahadat hui thi is wajah say shiya log kush hokar kunday kartay hai jab ki ye sarasal galat baat hai.

Pls visit: hazratfazlerehman.com

Refrence: ye upar likhi baat in kitabo say sabit hai.

1:minhajussalehin+ musannif 

saiyadana Imam Mohiyuddin ibne Abu Baker Baghdad.

2:kashaful Asrar 

Syedana Imam abdullah bin Ali asfahani.

3: Madame As rare ahle bait

Syedana Imam Mohammad bin Ismail muttaqi makki.

4: Makhzane anware wilayat 

syedana imam Burhnuddin asqalani.

Sidq Sadiq ka tasadduq sadiqul Islam kar,

Be gazab razi ho Kazim aur Raza k wastey.

Aameen

Pls visit: hazratfazlerehman.com

BURAI KO KHUD MAIN DHUNDO

Sufiya e karam kay nazdek koi bataar(bura) nahi hota:

Insan ko chahiye ki hardum apni islah aur khud par gaur o fikar karta rahaey ki wo kaisa hai dusro ki taraf dhayn aur un main kya ayeb hai ye dekhnay kay bajaye wo sirf apnay par dhayn rakahyega to uska beda paar hai, ek sufi sahab farmatay hai ki tumko apni dukan ki fikar hona chaye, dusray ki dukan kaisi hai isliye pareshan nahi hina chaye, ALLAH humsay hamra hisab leyga na ki kisi aur kay baray main puchayga. Agar hum inchezo main padey rahey gey to hamara zindagi ka asal maqsad faut(khatam) ho jaeyga.

@ dars gahe Sarkar Fazle Rehma Ganj Muradabadi(rehmatulahi alai)

Pls visit: hazratfazlerehman.com

Hazart Ba Yazeed Bustami (radiALLAHanhu) ko ALLAH ka paighaam aya ki duniya say koi ayeb daar chez yani bataar chez lao, hazrat dhondnay gaye kutte ko dekha ki wo gandi nali main pada tha uski tarf dekha aur socha ki yahi sab say gandi cheez hai, ALLAH nay us kuttay ko awaz di, us kutay nay hazrat bayazeed bustami radi ALLAHU anhu say kaha main nay koi apnay malik ki naa farmanai nahi ki to main kaisay battar hua, aap ye sunkar sharminda huye, usay chod kar agey bhaday kacharay ko dekah, usay awaz aiye main to acha tha insan na mujhe istimal kar key phaink diya, phir hazart ageey gaye or insan ki paikhanay(toilet) ki taraf dekha aur socha is say aib daar koi cheez ho hi nahi sakty, paikhanay nay kaha ki main to murg o muslaim tha thodi der pehlay mujahey say to khusbo ati thi lekin insan ka andar say jo guzra hun to dekho mera kya hal hua hai, hazrat thak har ka rumal apna khande main dal kar malik ki bharaga main gaye or kaha ya ALLAH subsay bura main ho main hi ayeb daar hun, mujhay badtar koi nahi.

@ dars gahe Sarkar Fazle Rehma Ganj Muradabadi(rehmatulahi alai)

Pls visit: hazratfazlerehman.com

Ye jawab Hazrat pehlay bhi de saktay thay jab unsay sawal kiya gaya par tab aap main nafs ki harrarat baki thi nafs ye manay nahi tayyar thy ki wo aeyb daar hai isliye dusro main aeyb dikha rahay thay, jab sab jagah gaye aur dekha ki ayeb mujmay hi hai to khamosh hogaye....yahi sari tarbiyat aur nafs ki sarkashi say door rehnay wala wali banata hai.

@ dars gahe Sarkar Fazle Rehma Ganj Muradabadi(rehmatulahi alai)

Pls visit: hazratfazlerehman.com

kehnay ka maksaad yeh tha ki insan kay andar ka ayeb jub paak hota hai har chaez saaf nazar ati hai, muhabat main raho kamil faqero ki shubat ikthar karo, unsay nafs sakit karnay ka ghun sikho aur phir us par amal karo dono jahan main kamyab hojaogy, ek baat yad rakhna jis nay angur khaye or uska maza chaka wohe uski lhai,t janta hai, aap kamil faqero ka pass jao bhaito phir koi sawal nahi rahey ga jiska jawab na milay.

mere daman-e-talab ko hai unhi kay dar se nisbaat

kisi or dar say rishta kabhi tha na hai na hoga.

@ dars gahe Sarkar Fazle Rehma Ganj Muradabadi(rehmatulahi alai)

Pls visit: hazratfazlerehman.com

 

ALLAH WALA KOUN HAI?

Allah wala kaun hai?

Aqsar ye sawal pucha jata hai ki ALLAH wala kaun hai ya Wali kaun hai, to asan lafzo main iska jawab pesh hai,

ALLAH wala ya wali kareeb rehnay walay ko kehtay hai, kis kay kareeb, Allah kay kareeb..Allah ki qurbat main rehnay wala Allah wala.

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi (rehmatulahi alaih)

Pls visit: hazratfazlerehman.com

Jaisay koi bhi dukandar apni dukan main jo saman rakhta hai hum usko usi naam say jantay hai misal kay taur par dood rakhnay walay ko doodh wala kehtay hai, phool wala, ration wala, kapdey wala, paisay wala jo shaqsh jo saman rakhta hai usi naam say jana jatay hai to isi tarah har sans main jo Allah ko rakhta hai wo Allah wala hai. Isi baat par agar aur gaur kiya jaye to agar Phool apko chaye to kaha jayngy beshaq phool wale kay pass, usi tarah kapday kay liye kapday wale kay pass to mere azeezo agar Allah ko pana chatay ho to kaha jaogy beshaq Allah wale kay pass.

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi (rehmatulahi alaih)

Pls visit: hazratfazlerehman.com

To jis tarah ap itar lene phool wale kay pass jayngy to wo kya kaheyga ya kapday lene doodh wale kay pass to ye log hasangay ap par aur kahengy galat dukan pay agaye ho, apko jo chaye usi dukan par jana hoga tabhi apki talab ki cheez milpaygy. Isi tarah Allah chaye to na jungle mai janay kay zaroorat na gali gali ghumnay ki apko Allah wale kay pass jana hoga. Ab Allah wala kaun iskay liye ye sarkar gaus e azam (radi Allah anhu) farmatay hai ki jisko dekh kay Allah yaad ajaye wo Allah wala. Dil fauran gawahi deta hai ki ye Allah wala hai uski nigah sidhay dil main utar jaty hai...

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi (rehmatulahi alaih)

Pls visit: hazratfazlerehman.com

To bhaiyo aap Allah ki nahi Allah walo ki talash karo wo Allah wala apko Allah tak pahuchnay ka rasta batadeyga.....aur agar apka naseeb buland raha koi kamil aur aqmal Allah wala milgaya to wo manzil tak pahucha bhi deyga.

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi (rehmatulahi alaih)

Pls visit: hazratfazlerehman.com

Tanam Farsooda Jaan Para, Ze Hijra Ya Rasul Allah

HAZRAT JAMI ALAIH REHMA KA ZABRADAST ISHQ BARA FARSI KALAM, IS KHAQSAR KAY KIYE HUYE TRASLATION KAY SATH, UMMED HAI AAP SAB KO PASAND AYEGA.

1)

Tanam Farsooda Jaan Para, Ze Hijra Ya Rasul Allah

Dillam Paz Murda Aawara, Ze Isyaa Ya Rasul Allah sal lal laho tala alaihi wasalam.

Translation:

Ya rasul Allah sal lal laho tala alaihi wasalam aap say doori ki wajah say main tadap raha hun aur mere jaan para para ho chuki hai,

Aur mera dil kamzor ho gya hai gunaho ki wajah saay.

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi

pls visit : hazratfazlerehman.com

2)

Choon Soo’e Mun Guzar Aari, Manne Miskeen Zanaa Daari

Fida-E-Naqsh-E-Nalainat, Kunam Ja Ya Rasul Allah sal lal laho tala alaihi wasalam.

Translation:

Kash aisa ho ko kabhi aap meri taraf tashrif laye to mai gareeb miskeen khaqsari say azizi say aap kay nalain mubaraq kay naqsh par apna jaan qurban kardu.

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi

pls visit : hazratfazlerehman.com

3)

Ze Jaame Hubb To Mustam, Ba Zanjeere To Dil Bustam

Nu’mi Goyam Ke Mun Bustum, Sukun Daa. Ya Rasul Allah sal lal laho tala alaihi wasalam.

Translation:

Jab say apki mohabat ka jaam piya hai main us jaam ki wajah say aisa mast hun, aur mere dil apki ishq ki zanjir say bandq hai.

Phir bhi main ye nahi kehta hun ki main ye ishq ki zaban say wakif hun, ye sab apkay karam say hai.

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi

pls visit : hazratfazlerehman.com

4)

Ze Kharda Khaish Hairaanam, Siyaa Shud Roze Isyaanam

Pashemaanam, Pashemaanam, Pashemaanam. Ya Rasul Allah sal lal laho tala alaihi wasalam.

Translation:

Jo bhi khataye mainay ki hai us par main hairan wa pareshan hun, mera naseev mera gunaho say siyah ho chuka hai.

Aur is par ya rasool Allah sal lal laho tala alaihi wasalam main bohat sharminda hun bohat sharminda hu bohat sharminda hu.

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi

pls visit : hazratfazlerehman.com

5)

Choon Baazoo’e Shafaa’at Raa, Khushaa’I Bar Gunaagara

Makun Mahruume Jaami Raa, Daraa Aan. Ya Rasul Allah sal lal laho tala alaihi wasalam.

Translation:

Ya rasool Allah sal lal laho tala alaihi wasalam aap jab shafat kay liye hath uthaye tamam ghunahgaro kay liye, us waqt apkay ghulam jami ko apni shafat say mehroom na kijeyga.

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi

pls visit : hazratfazlerehman.com

ISHQ E RASOOL (SAL LAL LAHO TALA ALAIHI WASALAM) WAQT KI AHAM TAREEN ZAROORAT

Ummat e muslima kai zawaal ka asli sabab huzoor sal lal laho tala alaihi wasalam say talluqe ishq mai kami hai.Is liye allama iqbal(REH) nay kaha

"musalman aa faqeere kaj kulahe

rameed az seenaey o soze aahe

dalish nalid japra nalid,nadanad

nigahe ya rasool allah nigahe"

@dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi (rehmatulahi alaih)

Pls visit: hazratfazlerehman.com

yaha bhi allama iqbal musalmano ki bebasi ka rona rote huwe kehte hai ke in kai seene sai dard o soz aur firaq mahboob mai tadapne ki his baaqi nahi rahi,ya rasool allah ye nadan musalman aap ko faramosh karchuke hai,inki nigahe aap kay paikar husn kai bajaey deegar paikaran husn ki taraf mutawajjah hai.

 

Ye agar apni badbaqti par matam bhi karte hai to inhay asal marz ka ilm nahi,lehaza apne karam ka sadqa inhai ek nigahe lutf sai nawaze taake ye phir sai sambhal sake.

@dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi (rehmatulahi alaih)

Pls visit: hazratfazlerehman.com

Allama nai apni mashoor nazam "shikwa" mai bargah khudawandi mai arz kiya,

 

"ab wo altaf nahi,hum pai inayaat nahi

baat ye kya hai ke pehli si madaraat nahi".

Mere azizio ab bhi kuch nahi bigda hai, humnay ishq e rasool sal lal laho tala alaihi wasalm sirf aur sirf nara lagnay ko aur juloos nikalnay ko samajh liya hai, jab ki ye to iman ka bohat chota darja hai, mere azizo sambhal jao ummat ka haal din pa din bad se badtar hota jarah hai, hum sirf ek dusray ko giranay main lagay hai fatway bazi main lagay hai, ye sahi hai ye galat hai, kya isliye humko ye deen mila hai ki hum apas main sirf ladetey rahay ya isliye mila hai ki hum khud bhi rahey haq pay ajae aur dusro ko bhi laye, humko chaye ki zikr o fiqr main lag jaye, darod o salam o milad ki kasrat karay, sachay ashiq e rasool sal lal laho tala alaihi wasalm ban jaye aur sabit kadam hojae, sab ishq e rasool sal lal laho tala alaihi wasalm hai, jab 313 sahaba ki jamat thy tab bhi iman ki buniyad ishq e rasool sal lal laho tala alaihi wasalm tha aur aaj bhi wahi hai aur qayamat tak yahi raheyga.

 

@dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi (rehmatulahi alaih)

Pls visit: hazratfazlerehman.com

QAUL HAZRAT JUNAID BAGHDADI(RDA)

Hazrat Junaid Baghdadi Rehmatullah Alaihi Ka Qaul Hain! Musibatain Aarifeen Ka Chiraag, Murideen Ki Bedaari, Momin Ki Islah Aur Gaafilon Keliye Halaqat Hain!

Momin Musibaton Per Sabr Kiye Bagair Imaan Ki Mithaas Nahi Pa Sakta!

Hadees Sharif May Hain Jo Shaks Raat Bhar Bimaar Raha Aur Sabr Karke

ALLAH-TA'AALA Ki Raza Ka Chahane Wala Hua To Wo Shaks Gunahon Se Aise Pak Hojayega Jaise Ki Apni Paidayish Ke Waqt Tha Isliye Jab Tum Bimaar Hojao To Aafiyat Ki Tamanna Na Karo!

NAFS

 

Aqsar log jo rahey tariqat kay musafir hai, jab nafs ki baat aaty hai to zyda tar ko kehtay suna hai ki apnay nafs ko maro jab tak nafs mareyga nahi kamaybi nahi mileygy, ye wo log hai jinko samjh main hi nahi aya ki nafs hai kya, azizo nafs kabhi marta nahi hai , nafs ko kuchlaa jaata hai, nafs ko apne taabe kiya jata hai, naa ki nafs kay taabe ho jaana, yaad rahey, dushman ko jo shaqsh dost bana leyga phir wo dushman us dost ki sari baat maneyga, to humko bhi nafs jo hamra sab say bada dushman hai usko dost banana hai, taki wo hamraey tabey hojaye, Awliya ALLAH aisay hi nafs ko kabhi pyar say kabhi taqrar say kabhi behla kay kabhi phusla kay dost bana letay hai, nafs ki bohat kismain hai sab sey pehla nafs, nafse ammara hai ye wo nafs hai jo humsay gunah karwata hai , uskay bad nafs e lawwamma hai, nafs e lawwamaa us gunaah ka ahesaas dilati hai , aur phir nafs e mulhema ko ilhaam hota hai rab ki taraf se phir wo mutmaina me nafs jaati hai.

@dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi(rehmatulahi alaih)

Pls visit: hazratfazlerehman.com

Quran : YAA AYYATUHAN NAFSUL MUTMAINNAH, IRJI'II ILAA RABBIKI RADHIYATAN MARDHIYYAH, FADKHULII FII IBAADII WADKHULII JANNATII."

Aey itmenan walay nafs, mere taraf aa, tere rab tere say razi hai tu bhi razi hoja, mere neek bando main shamil hoja aur mere jannat main dakhil hoja.

ALLAH quran main nafs e mutmaina ko apni taraf bula raha hai, agar nafs ko mardiya hota to phir ALLAH quran main bulata kyu, nafs marta nahi hai balki ek maqam say dusray maqam par pahuchta hai.

@dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi(rehmatulahi alaih)

Pls visit: hazratfazlerehman.com

Jb insaan nafse mutmainna par pahoch jaata hai to phir uskay agye nafse mardiya, nafse raadiya aur nafse kaamila tak pahoch jaata hai , nafse kamila tak jo shaqsh pahuch gaya haqiat main wahi kamil shaikh e kamil kehnay kay layak hai, par shart ye hai k nafse mutmainna tak pahochna ,aur ye bahot mushkil hai , bagair peere kaamil k nahi pahocha jaa sakta aisa iss khaaksar ka khayaal hai.

@dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi(rehmatulahi alaih)

Pls visit: hazratfazlerehman.com

AO KAMYABI KI TARAF

Jis kamyabi kay pichay hum zindagi bhar bhagtay hai, wo kamyabi, din main 5 baar awaz deykar hamay bulaty hai, " hayya alal falah" (Ao kaamyaabi ki taraf) par hum hi us awaz ko nazar andaz kardetay hai isliye pareshaan hai....namaz kayam karo, duniya main bhi aur akhirat main bhi kamyabi pao.

pls visit: hazratfazlerehman.com

EK GUZARISH

Aqsar dekha gaya hai ki urs sharif kay maukay par ashiqan e awliya badi si badi tadat main shirkat kartay hai, kuch nasseb walay hotay hai jinko sandal aur gusl main hazrari ka mauka milta hai, aur un logo ko taburakat kay taur par saheba mazar par laga hua sandal aur gusul ka pani milta hai, kuch log is sandal ko chaat letay hai jo ki bohat acha hai par kuch log sandal ya gusul kay pani ko chere pay maltay hai mathay pay maltay hai ye sahi hai, ye aaj zyda tar logo ka haal hogaya hai ki sandal jab sahebay mazar par pesh hokar ata hai kuch log usko chere par ya mathay par ya jahan unka dil karta hai mal letay hai, to mere azeezo aisa nahi karna chaye, ap sab ko ye khayal rakhna chaye ki ye sandal kis bala zaat par say lag kar araha hai, isko khalena chaye, kyun ki jab aap log isko chere par mathay par maltay hai, to sandal sukhnay kay baad girnay lagta hai ya jab aap chere dhotay hongay wazu kay liye to wo sandal nali main bhe jata hai jisay is paak sandal ki behurmati hoty hai, sukh kar kitnay logo kay pairo kay nichay ata hoga sandal, to mere aap tamam say adban guzarish hai ki agay say kahi bhi urs main jaye to sandal ko chere par na lagtay huye khalay agar zyada milgaya hai to kagaz main rakh kar ghar walo ko khilaye, bimar hai pareshnai hai dil main andhera hai, to niyat karkay khaye in sha ALLAH jaisi niyat hogy ALLAH apnay neek AWLIYA kay wasilay say us niyat ko pura kareyga, par pls ab say kahi bhi na lagay sandal ko chere par, bohat adab ki karnay wali cheezay hai, hum aqsar be khayali main aisa kaam kar jatay hai, ki sahebe astana kush honay kay bajaye naraz ho jaye, isliye kaye log AWLIYA ALLAH ki mazar par jakar bhi khali haat atay hai, kyu ki adab kahi na kahi anjanay main toot jata hai...aur karam honay kay liye adab kisi bhi haal main nahi chutna chaye, mujhay ummed hai is post ko padhnay kay baad aap sab zaroor sandal ya gusl ka pani mileyga to khalengy ya pee lengay yahan waha nahi lagagy.

@dars gahe sarkar fazle rehma ganj muradabadi(rehmatullah alaih)

pls visit my site : hazratfazlerehman.com

SAYADO KA AHTERAAM

Ek baar ek sayed sahab hazrat jami rehmatulahi alaih ki shourat sunkay unsay mulakat kay liye khurasan tashrif laye, hazrat nay unka badey adab aur ahtaram say istaqbal kia, aur apni khanaqa main sab say behtareen kamra unko rehnay kay liye ata kia, jab tak wo sayed sahab hazrat jami rehmatullah alaih ki khanqa main thay, hazrat jami rehmatulah alaih soye tak nahi, hamesha khaday rehtay is par apkay khadim nay kaha hazrat jab say ye sayed sahab aye hai aap soye tak nahi na aram kiya, ye suntay hi hazrat zaro katar ronay lagay aur rotay huwey kaha main kis tarah sojao jab ki mera aqa ki awlad mere ghar par hai, wo khadim nay kaha acha kum say kum so nahi saktay to let kar apnay pair hi lambay karlijye taki apkay pairo ko aram ajaye, hazrat farmatay hai aey kum aqal kya tu kabay ki taraf pair kareyga ya tu quran ki taraf pair kareyga, ye sayed zaday mera kaba aur mere quran hai, agar main sogaya aur sotay waqt sayed sahab pata nahi kis rookh par ho aur galti say mere pair unki taraf ho gaye to isay zyada sharm ki baat jami kay liye kya hogi. Isliye jami tab tak adab main khada rahyga jab tak ye sayed zadey maujood hai.

SubhanAllah!!! Kya sabaq dekar gaye hai hamarey peshwa, is ka nukta barabar bhi hum apnay amal main le aye to beda paar hai.

Hazrat Jami ka ishq aqa kareem sal lal laho tala alaihi wasalam aur unki ahle bayat say upar walay wakye aur is nichay walay ashar say zahir hota hai.

"Ba sidq o safa gasht bechara Jami 

Ghulam e Ghulamaan Aale Muhammad”

(sallah o aleh e waalehi wasallam)

Jami Bechara Dunya se sidq o safa ke saath sidhara chunke wo Aale Muhammad Sallallaho Alayhe wa Aalehi Wasallam ke Ghulamon ka Ghulam tha (isi tarz par usne zindagi guzari so uska khatma sidq o safa yani roohaniyat o nooraniyat ke sath hua ... yani Ba imaan dunya se rukhsat hua)

@ dars gahe sarkar fazle rehma radi ALLAHU anhu.

Pls visit: hazratfazlerehman.com

PEER PARAST KAUN HAI?

Peer parast kaun hai aqsar hum khtay hai ki hum peer parasat hai...par haqiqi peer parasti kis cheez k naam hai.

Jawab:

Haqiqat main peer parasti jo hai wo peer ka aeyna banjane ka naam hai..peer ki nakl banjane ka naam hai...uski ada banjane ka naam hai usko apnay andar utar lene ka naam hai....peer parasti peer ki tarah namaz padhne lagu...unki tarah jaisa wo zikr kartay hai waisa zikr karnay ki koshish karnay lagu iska naam hai...har kaam jiska hukum peer dey us par amal karne ka naam hai...

@ Dars gahe fazle rehma ganj muradabadi (rehmatullah alaih)

peer parast jo hai wo haq parast hai...uski sari ada ko jab copy kar logy apnay andar sama logy wahi jazba ishq jo us main hai wo tum koshis karo k mujh may bhi ajaye wahi talab wahi mohabbat har cheez peer main jo maujood h uska ayena banjana aur peer phir khud ko tum may dekhnay lagay, uskay hazara mureed ho par wo khud ko tumay dekhay, sab ki nazar peer par ho par uski nazar tum par ho haqiqat m ye peer parasati hai....

@ Dars gahe fazle rehma ganj muradabadi (rehmatullah alaih)

peer apnay tamam muredo kay halat say ba khabar rehta hai...usko pata hota hai kis main kitna cureent daud raha hai...jo sirf lafzi peer parast honay ka dum bharta hai usay bhi wo wakif hota hai aur jo haqiqat main peer main khonay kay leye betab hota hai usay bhi wo ba khabar hota hai.....asal mureed wahi hai peer ki naqal banjaye, jo aisa karta hai Allah usko asal bana deyta hai, yahi fana fi shaikh ki manzil hai....

@ Dars gahe fazle rehma ganj muradabadi (rehmatullah alaih)

jo haqiqat m peer parasat hota hai wahi fana fil shaikh ki manzil par hota hai....aur is wajah say peer parasti ko haq parasti kehty hai kyu ki peer to haq main fana hai aur mureed peer main...katra samundar say milkar khud samndar hojata hai....

@ Dars gahe fazle rehma ganj muradabadi (rehmatullah alaih)

pls visit: hazratfazlerehman.com

AEYE ANDHERAY SAY UJALEY KI TARAF

Kisi bhi shay ko dekhnay kay liye Insan ko do chezo ki zarorat padty hai ek ankh aur dusri roshani, insan ko chizay jab hi nazar ati hai jab kamaray main ujala ho, andhere main wo ankh hotay huye bhi nahi dekh pata, Allah nay insan ko bhi ek kamray kay manind banaya hai, jaisay ek tayar kamray main har cheez jaisay pankha, cupboard, palang, bulb, dressing table aur degar chezay jo kamaray ki zeenat badaty hai sab maujood ho par kamaray main adhera ho to aap in chezo kay hotay huwey inko dekhnay say mehroom reh jatay hai waisa insan kay andar Allah nay har cheez lataif ki shakl main rakh di hai, uska pura wajood anwar aur tajaliyat say bhara hai par in sab chezo ko dekhnay kay liye usko khud main ujala karna hoga.

Ye ujala tab tak nahi hota jab tak uski batani ankh nahi khulty, is ankh ko kholnay kay liye hi kamil shaikh ki talash karnay ka hukum hai, peer e kamil apnay mureed ko wo rasta batata hai jisay uska batin main ujala ho, aur jo khazana Allah nay uskay andar chupaya hai wo dekhnay kay layak banay, shaikh ki sohbat aur unki bato par amal kar kay hi mureed main ye baat paida ho skaty hai.

Aaj kitnay hai jo bayat to hogaye par ye batini ujalay say mehroom rahay, afsos to ye hota hai logo nay baday jhuba pehnay khirqa aur taj pehnay logo ko kamil peer aur sufi samjh liya hai, aaj kay daur main bohat say peer hai jo sirf naam kay peer jo khud andhere main hai, na wo khud is rastay say wakif hai na ho,wo mureed ko kaisa chala sakatay hai, unkay liye peeri muredi sirf business ka zariya hai, jisay paisay arahay nazrnay mil rahay hai unka bank balance bhad raha hai, bicharay jo mureed haq ko panay kay talab gaar hai wo bhi peer kay adab aur dusray log kya kahngy is chakar main rehjatay hai aur zindagi andhere main guzar kar andhere kay sath hi marjatay hai. Peer akhirat main mureed ko jannat main lekar jayega ye kaha jata hai, iska matlab peer wahan mureed ko pehchaneyga, aaj to kaye aisay peer hai jo apnay mureed ko duniya main hi nahi pehchan patay agar mureed kabhi kabhi milta hai to aisay peer akhirat main kaisay pehchaneygay.

Mere aap sab say guzarish hai aap jahan say bhi bayat hai,apni zaat ka muhasba kijye ki baad e bayat apki batani kuwat main zara bhi sudhar aya, dil main bedari paida hui, Allah ki pehchan hasil karnay ka zauq bhada, ishq rasool sal lal laho tala alaihi wasalam main dil chur ho raha hai ki nahi...aap kay peer say apko batin ko roshan karnay kay liye koi koi cheez ata horahy hai ya nahi.

Agar nahi to phir becha kyu apnay apko, bayat say murad hi hai khud ko bech dena shaikh kay hath, wo bhi akhirat ki daulat panay kay liye ab jab wo daulat nahi mili apko to fayda kya hua bayat ka.

Jo yahan ka andha hai wo waha ka bhi andha hoga.

Andere ko dande maarne se wo khatm nahi hoga

Apne hisse ka chirag aaj se jalana shuru kar dijiye

Andhere ujaalon me khud ba khud badalna shuru ho jaayenge.

@ dars gahe sarkar fazle rehma ganj muradabadi rehmatulahey alaih

Pls visit: hazratfazlerehman.com

TALIB E MAULA

Hazrat Ghaus-ul-Azam Hazrat Shaikh Abdul Qadir Jilani Razi Allah Anhu Farmate hai.

"Man lam yarifuhu kaifa yabuduhu"

Meaning: Koi bhi shaqsh ALLAH ki bandagi kaisay kar sakta hai jab taq wo ALLAH ki pehchan say gafil hai.

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi(rehmatullahi alaih)

Pls visit: hazratfazlerehman.com

kitnay gaur karany wali baat hai, sarkar gaus e azam radi ALLAH anhu nay aisi baat kahi, ab kitnay log hai jinko ye pechan hasil hai, jab pehchnaogy nahi to bandagi kiski kar rahay ho, isliye namazo main lazzat nahi, log salo say namaz pad rahay hai par meraj hasil nahi hui, aqa kareem sal lal laho tala alaihi waslam nay jab ki farmaya namaz momin ki meraj hai, aur aaj hum meraj say hi gafil hai kyu aisa wajah kya hai, ek hi wajah hai bhaiyo humko ALLAH ki pehchan hasil nahi hui, bayat leliya mureed hogaye par bayat liya kyu yahi nahi pata, aray mere bhaiyo mureed honay ka hukum isliye hi hai ki ALLAH ki pehchan hasil karo, par afsos ye hai ki aaj jo log peer banay baithay hai wo khud hi nahi janatay to mureed ko kaha say deygay, isliye murid bus dast bosi aur nazare taq reh jata hai, wo kabhi manzil taq nahi pahuch pata....mere dosto pechan hasil karo rahe ishq kay musafir banao na ki duniya kay alab gaar.

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi(rehmatullahi alaih)

Pls visit: hazratfazlerehman.com

WAJOOD-E-KAINAT

Kuntu kanzan makhfiyyan fa ahbabtuhu an u`rafa fa khalaqtu ‘l-khalq.

 

“Mai ek chupa hua khazana pus maine doast rakha iss baat ko pahchana jawu paida kia maine Qalkh ko”.

 

Chupa hua khazana zahir me ane ke liye betab hai aor apne aap ko is baat per doast rakhta hai ke pahchana jaye aor wajood me lata hai Qalkh ko

 

Pls visit: hazratfazlerehman.com

 

Allah Rabbul Alamin apne taqti gaib wa izzat me jalwa farmatha, Apni azmat wa jalal ke kibriyai pardo ke pichhe he tha abhi hijab wa Aqfa ke naqabo me he tha-, aor KUNTU KANZA MAQFIYA iss ne chaha ke apne anware mukhadas jo chu wa chara ki kaifiat se muattar they-, aor apni rahmat wa rabubayat ke mutalah par apne jalal wa jamal ki sifat ki chand shuaye zahir farmai.

 

Pls visit: hazratfazlerehman.com

 

“ALLAHU NOORUL SAMAWATI WAL ARZ”, Ke Noor he me sab jalwe moujudh hai aor iss wahid Noor ke siwa kaha se kaha taka or kuch bhi nahi-, Iss Noor me jub ye irada paida hua ke zahir howe to isi Noori Wajood me Ek Wajood aya wo bhi Noor he Noor tha-, Aor jub Rabbul Aalamin ne is Noor per tawajjo kia toh wo isko bohot he Aziz laga-, Is Noor ko Rabbul Alamin ne kai Hazaron saal apne deedar me rakha aor tawajjo qayam kia toh wo Noor “ALLAH” ke israar se bhar poor hone laga-, Aor isi Noor me bhi wahi kaifiate aker samane lagi aor yahi NOOR MOHAMMAD (sal lal laho tala alaihi wasalam) hai-, Aor jub Noor Mohammad (sal lal laho tala alaihi wasalam)kul bhedo aor khazano se bhar poor hogaya toh farnaya “ANA MIN NOORULLAHI TA’ALA KUL SHAYYIN MINA AN NOORI”, Mera Noor ALLAH Ta’ala ke Noor se hai aor Kul Shai mere Noor se hai-, Ye farmane Noori Mohammad (sal lal laho tala alaihi wasalam) kisi bhi farman se pehla farman hai-, “KUN FAYAKUN” ki manzil iske bad ka muqam hai-, 

Pls visit: hazratfazlerehman.com

 

Iss Noor ki tariff hai, Jo Rabbul Izzat ne farmai-, Rasoo l e Qudah ne farmaya, “Awal ma Qalaqha Allah ta’ala min Nuri”, Sabse Pahle Allah Ta’ala ne mere Noor ko Paida kia-, Noor Mohammad (Sal lal laho tala alaihi wasalam) me Kull Bhed aor Raaz samagae toh wo Hijabat se baher Aane laga toh, Qalikhe Kainaat ko irada hua ke iss Noor E Mujassim ke jalwo ko zahir kia jaye, toh is Noor-Ala-Noor se Kul Kaninat ko wajood me laya-, aor Asmano ko Sitaro se Sajaya aor Nizam Shamsi khayam kia aor iss Nizame Shamsi ke dayre me Zameen ki gardish qayam kia aor Zameen ko Khubsoorat Shakal di-, Nabadaat, Jamadaat, Charind, Parind,Kul Atthara Hazar (18,000) Maqlooq se is Gulshan ko Gul-wo-Gulzar kia-, ye kirah wa arzi Jannat ka Ek Tukdah banahua tha-, Iss me rehnewali Maqlooqh Khush haal thi, Hamesha Rabbul Aalameem ka Shukar Aada karti thi-, Bari ta’ala in ke Sardar ki amad ki Khabar dia karta tha-,Aor Kul Maqlooq Inke Sardaar ki Amadh ke muntazir they-, Abhi Adam Ka Wajood, Wajood me nahi aya tha-, Lekin Aqah E Inamdar Sarware Doa Aalam Huzur Pur Noor Sallellahu Alihi Wasallam Nabuwat se sarfaraz they-, Aor Aap (sal lal laho tala alaihi wasalam) ke Noor Mubarak he se her Shai wajood me aarahi thi aor Zameen Aasman Perwarish horahi thi-, Huzur Pur Noor Sallellahu Alihi Wasallam ne farmaya “KUNTU NABIYA WA ADAMA BAINIL WA LATAIN”-, Mai us waqt Nabi tha jub ke Adam abhi Pani aor Mitti ke dermian they-,”.

 

(Az Kitab Al-Faqr )

 

Pls visit: hazratfazlerehman.com

AULIYA WO HAI JINAHY KHAUF NAHI

“ALA INNA AULIYA ALLAHI LA KHAUFUN ALAIHIM WALA HUM YAHZANOON” (Paara No 11, Surah Yunus, Aayat No 62)

ALLAH nay is ayat ki shurwat “ALA” kah kar ki, "ALA" kay mayane kya hai “ALA” kyu kaha gaya to azeezo “ALA” say murad khabar dar hoja, bedar hoja, kay jo mera wali hai wali kay manay dost,Allah farma raha hai ki jo mere dost ho tay hai unko na khauf hota hai na ghum.

Dars Gahe Sarkar Fazle Rehma Ganj Muradabadi(rehmatulah alaih)

Plz visit : hazratfazlerehman.com

ALLAH rabul izzat nay namaz kay hukum kay liye “ALA” ka lafz nahi istemal kiya na ki Rozay Kay hukum deney main “ALA” ka lafz istemal hua, ki namaz kay liye khabardar hojao , balki jab uskay dosto ki mehboobo ki baat arahi hai to humko khabardar, bedar attention main lakar warning dekar batla raha hai ki jo mere dost hotay hai unko na khauf hota hai na gum, to maulm ye hua ki jo log khauf zada hai ya ghum zada wo wali nahi ho sakat, wali honay kay liye usko be khauf hona zarori hai.

Jiskay dil main khauf aur gum bacha wo ALLAH ka wali nahi ho sakata kisi bhi kimat par kyu ki Quran main ALLAH fermata hai.

Dars Gahe Sarkar Fazle Rehma Ganj Muradabadi(rehmatulah alaih)

Plz visit : hazratfazlerehman.com

“YAA AYYATUHAN NAFSUL MUTMAINNAH, IRJI'II ILAA RABBIKI RADHIYATAN MARDHIYYAH, FADKHULII FII IBAADII WADKHULII JANNATII." (Al-Fajr 89:27-30)

ALLAH fermata hai aey itmenan walay nafs mere taraf aa, tera rab tujhsay razi hai tu bhi usay razi hoja aur mere nek bando main shumar hoja aur mere jannat main, ab ALLAH kisay bula raha hai itmenan walay ko jiskay pass na gum hai na khauf hai wo dono cheezo say paak hai, isliye usko nafs mutmain kaha gaya….ALLAH ki raza itmenan main hai aur itmenan kaisay ata hai, jiskay dil main zara bhi khauf aur ghum hai wo itmenan nahi payga….ab yahan gaur kiya jaye to ALLAH bnaday say na namaz par, na rozay par na haj par na zakat kisi cheez say razi nahi ho raha, uski raza kis cheez main hai itmenan main wo itmenan walay say razi hai, mutmain agar hogaya hai to usay razi hai…ab itmenan kaisay ata hai madi chezo say material chezo say itmenan nahi milta, phir kis cheez say milta hai.

Dars Gahe Sarkar Fazle Rehma Ganj Muradabadi(rehmatulah alaih)

Plz visit : hazratfazlerehman.com

Na daulat say itmenan hasil hoga, na zammen say na jaydad say na awlad say na gadi say dunya ki kisi bhi shay say itmen nahi hasil hoga to phir wo kya cheez hai jisay itmenan hasil ho wo ALLAh quran main farmat hai

“ Ala bizikrillahi tatma innal qulub" (Surah Raa'd,Ayah 28)

Beshaq dilo ka itmenan ALLAH kay zikr main hai….yaha dilo ka itmenan ALLAH kay zikr say bataya gaya hai lafz ALLAH say nahi, quran kehta hai surah anfal main 9 parey main momin wahi ho sakta hai jiskay paas ALLAH ka zikr anay say dil kaap jaye “ Ju ilat qhulubuhum” (quran) ab ALLAH ka zikr kya hai aqsar hum lafz ALLAH ko hi zikr samjhtay hai to lafz ALLAH say itmenan nahi ata uska naam say to dil laraz jata hai kaap jata hai , phir wo kaunsa zikr hai jisay itmenan aye dil ko sukkon aye wo kaunsa zikr hai aur kiska zikr hai jo khud ALLAH kar raha hai aur tab say kar raha hai jab kuch bhi nahi tha kis cheez ka wajood nahi tha duniya main sirf ALLAH tha uskay mehboob ka noor tha aur malaika thay tab say wo khud zikr kar raha hi kis ka zikr jisay itmenan ata hai to ALLAH quran main fermata hai.

Dars Gahe Sarkar Fazle Rehma Ganj Muradabadi(rehmatulah alaih)

Plz visit : hazratfazlerehman.com

Inna Allaha wamalaikatahu yusalloona AAala alnnabiyyi ya ayyuha allatheena amanoo salloo AAalayhi wasallimoo tasleeman' (Sura Al-Ahzab, Ch 33 Ayat 56 )

ALLAH khud aur uskay malika darood bhejtay hai iman walo tum bhi darood bhejo nabi (sal lal laho tala alaihi wasalam) par.

To itmenan milayga to zikr e Mustafa say, ab hum ko dekhna hai hum kitna zikr kar rahay hai ALLAH jiska zikr kar raha hai hum kyu uska zikr na karay,humko chye ki darrod paak ki kasrat karay aur zyada say zyada tadad main darood bheje hamaray pyare aqa sal lal laho tala alaihi wasalam par, par aj kuch jamato nay is zikr ko shirk aur haram kaha hai, ALLAH inko samajh ata karey jab ki wo khud bekahabar hai ki ALLAH khud uskay zikr kar raha hai aur farma bhi raha hai ki agar mutmain hona chatay ho itmenan pana chatay ho to mere mehboob ka zikr karo….ab aap khud hi faisla kijye ap kis jamat main rehna chatay hai wo jo mutmain hai ya wo jo bechain hai.

Dars Gahe Sarkar Fazle Rehma Ganj Muradabadi(rehmatulah alaih)

Plz visit : hazratfazlerehman.com

ZARURAT - E - MURSHID

Jis din hum har jamaat ko uske imam ke saath bulayenge (Surah bani israil ayat 71)

Insaan par farz hai ki woh peere kamil ki talash kre aur woh kareeb makan aur mulke azam me aur mulke sham me aur woh mulke rum me kyu na ho (Burhanul haqayaq pg no. 206)

Hazrat Sayyiduna Abdul Qadir Isa Shazali (rehmatulahi alaih) farmatey hain ki Huzur Nabi e karim Mohammad (Sal lal laho tala alaihi wasalam) ke ashabe kiraam (R.A) bhi mahaz Quran padhne se apne nufus ka ilaaj nahin kar sakte the. Woh bhi Rasulallah (Sal lal laho tala alaihi wasalam) ke shifa khane se wabasta the aur Aap (Sal lal laho tala alaihi wasalam) unka "Tazkiya wa Tarbiyat" (Nafs wa qalb ko pak wa saaf) farmate the. ( Haqaiq an al - tasawwuf safa - 47)

"Munkare bait kisi kamil se jaldi bait kar

Nuh ka tufaan hai kashti abhi sahil pe hai"

Baba Bulle Shah (R.A) farmate hai - Khuda bhi andar hain, Ruh bhi andar hain aur ruh ko rab ke saath jodne wali dor yani kalma bhi andar hai magar khuda ya kalma ke ganje makhfi ka raaz ayan karne wala aur is tak pahunchane wala murshid e kamil bahar dhundhna padega

"Gar chahta hai tu ki pata yaar ka lage

Uski talash kar jise apni khabar na ho"

Jaisa ki ilme tibb men yeh baat tai hai ki tibb ki kitaben padhne ke bawajud az khud koi apna ilaaj nahin kar sakta balki iske waaste koi tabib chahiye. Jo iske maraj ki tashkhis kare. Isi tarah amraaze qalbiya aur nafsani bimariyon ka ilaaj bhi az khud nahin kiya ja sakta. Inke liye bhi ek mujjaki tabib ki haajat hai. (Haqaiq an al - tasawwuf safa - 48)

Shah Waliullah mohaddis dehlvi (R.A) farmate hai - Zahir taur par bina maa - baap ke bacche nahi ho sakta, thik usi tarah batini men bina peer ke allah ki raah mushkil hai (Alintebaah pg no. 33)

"Jo thi kehne ki baatein

Kah chuke talib miyan bismil

Amal kar baithna us par

Sa'adat isko kehte hain"

Pls visit: hazratfazlerehman.com

EID E MILAD

Eid e milad un nabi hum sab manatey aye hai aur ta qayamat manatey rahengy, par kuch kum aqal is eid ko shirk aur biddat ka naam detay hai...aur tarah tarah kay sawal kartay hai..to jahilo kay liye ye post...taqi apsay koi sawal karay to jawab desakey.

Assalamu Alaikum Milad Un Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Manana Quran Aur Hadees Se Sabith Hai Allah Ne Quran Me Hukm Diya Hai Allah Ke Fazal Aur Uski Rehmath Per Khushi Manao.(Sore Younus Ayat 11) Aur Ek Jagah Per Farman Hua Aur Hamne Tum Ko Saare Jahan Ki Taraf Rehmath Banaker Bheja (Para 17,Sore Ambbiya Ayat 107) NABI Sallallahu Alaihi Wasallam Se Badh Ker Bhi Kiya Koi Allah Ki Nemat Hosakti Hai? Hargiz Nahi To Phir Quran Ke Hukm Per Hum Amal Kiyu Na Kare. Aur Rahi Sahaba Ke Daur Me Hua Tha Ya Nahi To Hazrate Abubakar Hazrate Omer Hazrate Osman Aur Hazrate Ali Raziallahu Nahum Ke Daur Me Bhi Milad Hota Raha Dekho Nematul Kubra Page Number 6/7 Me. Ab Raha Ye Sawal Ke Is Tarah Milad Manana Kaisa Jo Aaj Kal Hum Manate Hai Kiya Sahaba Ne Aise Tariqe Se Milad Manaya Tha? Jawab Jo Amal Quran O Hadees Ke Khilaf Na Ho Wo Islam Me Jayez Hai Agar Ye Najayez Hota To Phir Quran Ki Printing Jo Aaj Kal Papers Me Hoti Hai Wo Bhi Najayez Hojayegi Kiyu Ke Sahaba Ke Daur Me Aisi Printing Nahi Hoti Thi Aur Usper Zer, Zabar, Pesh, Bhi Nahi Hote The Masjid Me Mic Per Azan Bhi Sahaba Ke Daur Me Nahi Hoti Thi Aur Aaj Tum Dete Ho To Kiya Ye Najayez Nahi? Namaz Me Mic Ka Istemal Kiya Sahaba Ne Kiya Tha? Jawab Saaf Hai Milad Manana Jayez Bhi Hai Aur Sawab Bhi Aur Bhi. Allah Hame Khub Khub Apne Habeeb Sallallahu Aliahi Wasallam Ka Milad Dhum Dhaam Se Sahriyat Ke Ander Rehkar Manane Ki Taufiq Ata Farmaye. Aamin

Kya sahaba nay milad manaya ?

1.Hazrat Abu Bakar Radi Allah-o-A'nho ne farmaya: Jis ne Nabi k meelad par ek dirham kharch kia woh jannat main mere saath hoga..

2. Hazrat Umer Radi Allah-o-A'nho ne farmaya: Jis ne Meelad ki Tazeem ki us ne Islam ko Zinda kia...

3. Hazrat Usman Radi Allah-o-A'nho ne Farmaya: Jis Jis ne Meelad-e-Pak par Ek dirham b kharch kia goya woh Gazwa Badr o Hunain k jihad main shareek howa.

4. Mola Ali Radi Allah-o-A'nho ne farmaya: Jis ne Meelad-e-Mustafa ki Tazeem ki or us ko bayan karne ki Koshish ki woh dunia se Iman k saath jaye ga or bigair Hisaab k Jannat main dakhil hoga...

(An Nematul kubra Allama Ibn-e-Hajjar Makki Alyhi Rahma)

Kya aqa (sal lal laho tala alaihi wasalam) apna milad manaya?

Khud Huzoor ( صلى الله عليه و سلم ) Ne Majma-A-Sahaba Ke Saamne Mimber Per Khade Hoker Apni Wiladat Pak AurApne Ausaaf Bayaan Farmaye! Jisse Malum Hua Ki Milaad Padhna Sunnat-A-Rasool ( صلى الله عليه و سلم ) Bhi Hain! Chunanche, Hazrat Abbaas Radi-Allahu-Anh u Se Riwayat Hain Ki Ek Din Huzoor ( صلى الله عليه و سلم ) Ki Khidmat May Main Haazir Hua! Shayed Huzoor SALLALLAHU-TA'A ALA-ALAIHI- WASA LLAM Tak KhaberPahuchi Thi Ki Kuch Log Hamare Nasab-Pak May Taa'an Karte Hain! "Faka-Man-Nabiy u-Sallallahu-Al aihi-Wa-Sallam- Alal- Mimber-A-F akala-Man-Ana!" Bas Mimber Per Qayaam FarmakerPucha Batao Main Kaun Hoon? Sabne Arz Kiya Ki Aap Rasoolallah Hain! Farmaya Main Mohammad Ibne Abdullah Ibne Abdul Muttalib Hoon! ALLAH Ne Makhluk Ko Paida Farmaya, To Humko Behtarin Makhluk Mayse Kiya, Fir Unke 2 Hisse Kiye Arab Wa Ajam! Humko Unme Se Behter Yani Arab Mayse Kiya Fir Arab Ke Chand Qabile Farmaye! Humko Unke Behter Yani Quraish Mayse Kiya! Fir Quraish May Chand Khandaan Banaye! Humko Un Mayse Sabse Behter Khandaan Yani Bani- Haashim Mayse Kiya! Hum Khatumun Nabiyeen Hain AurHum Hazrat Ibrahim Ki Dua, HazratIsa Ki Basharat Aur Apni Walida KaDidaar Hain! Jo Ki Unohne Hamari Wilaadat Ke Waqt Dekha Ki Unse Ek Noor Chamka Jisse Sham Ki Imaratain Unko Nazar Aayi! 

[ Mishkaat Jild-2 Baab Fazayil-A-Sayya dul Mursalin Fasl-A-Saani Pg-513 ]

Huzoor SALLALLAHU-TA'A ALA-ALAIHI-WASA LLAM Ne Apna Nasab Nama Apni Nath-Sharif Apni Wiladat Pak Ka Wakeya Bayaan Farmaya! Yahi Milaad Sharif May Hota Hain! Aisi Bahotsi Aa-Hadees Pesh Ki Ja Sakti Hain!

Pls visit: hazratfazlerehman.com

PEER AUR KHUDA

Peer numa sanam aur khuda numa bhi tu yani tujhi me peer aur khuda hai .!!!

Aksar hum peer ko hi khuda samjhtay hai jo ki galat hai aur kaye log khuda say juda samjhtay hai peer ko wo bhi galat hai....na peer khuda hai na khuda say juda ...agar ye bat ko samjhya jaye to Paani aur baraf ek hai yaa alag ....jab ki pani say hi baraf bana hai par pani liquid state main hai to behta hai uski sifat main jamna nahi behna hai par wahi pani jab jam jata hai to baraf hojata hai...

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi rehmatul lahi alaih.

Pls visit :hazratfazlerehman.com

Isi tarah jab garam kiya jata hai to gas ban jata hai...pani ek hi hai par ek ho kar bhi ek nahi....dudh nahi hoga tho dahi kaise banega aur dahi nahi hoga to ghee kaisay...doodh main hi ghee hai par doodh ko pakaye bina ghee nahi milta waisa hi sanam main peer bhi hai aur khuda bhi usko hi pana hai...isliye khuda ko panay kay liye pehlay peer ko pana...ghee ko panay kay liye doodh ka hona zaroori hai isi liye khuda bhi peer main hai par peer khud khuda nahi....

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi rehmatul lahi alaih.

Pls visit :hazratfazlerehman.com

jaisay ek pani ki bottel main pani ho to wo bottel main pani hai wo bottel khud pani nahi hai...yahi samjhna hai aj kal zayda tar log peer ko khuda samjhtay hai par peer khuda nahi hai...peer main khuda hai.....baba nay kalam isliye likha hai chupna tera ajeeb hai milkar bhi na mila hai tu...bus yahi baat hai wo aisa chupa hai ki peer ki zaat kay zariye hi khuda ki mushaida ho sakta.

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi rehmatul lahi alaih.

Pls visit :hazratfazlerehman.com

 

KYA SHAITAN PEER KI SURAT IKTIYAR KAR SAKTA HAI?

Kya shaitan peer ki surat main akar bashart desakta ya behka sakta hai....

Jawab:

Is sawal kay jawab ko samjhnay kay liye humko pehlay surat ka raaz samjhna padeyga... Allah pak quran e kareem main farmata hai ki mainay adam ko apni surat par banaya....

@ dars gahe hazrat fazle rehma (rehmatullah alaih)

Pls visit : hazratfazlerehman.com

ye surat kya hai aur kaisi hai...usi surat ko to pehchana hai, jis surat main adam ko banaya wahi shakl Allah ki hai, to wo shakl kis shay ki hai jo Allah ki hai wo shakl rooh ki hai...Allah zaheri shakl say paak hai to rooh hi hai jo uska dedar kar sakty hai....

@ dars gahe hazrat fazle rehma (rehmatullah alaih)

Pls visit : hazratfazlerehman.com

kamil peer jo adam kya hai uski haqiqat kya hai wo jan jata hai wo khud us soorat ko ikhtiyar karleta hai...isliye hadees main aya hai ki main jisko pasnd karleta hun uskay hath kaan naak pair banjata hun...wo khud momim kay qalb jisay Allah nay khud apna arsh kaha hai, us main jalwagar hota hai aur apnay honay ki sada lagata hai.....aqa (sal lal laho tala alaihi wasalam) nay khud faramya ki shaitan mere shakl ikhtiyar nahi kar sakta ye baat bilkul haq hai aur is wajah say jo fana fil rasool ki manzil tak pahucta hai uski surat bhi shaitan ikhtiyar nahi kar sakata kyu ki kamil peer noor mohammedi ka mazhar hai...

@ dars gahe hazrat fazle rehma (rehmatullah alaih)

Pls visit : hazratfazlerehman.com

Shaitan sirf usi chere main ayga jinko hum nahi jantay wo hamay bhatkanay askata hai kisi bhi buzrg ka chera lekar aur keh sakta hu main gaus hun main gareeb nawaz hun main ye hu wo hun...humnay jab pehlay kabhi dekha hi nahi in buzrgo ko to pehchan kaun karyga, wo pehchan peer hi karata hai...jab banda taraqi kartay huye awliya ka dedar say sarfarz hota hai to peer e kamil say bayat lena ka hukum isliye kiya gaya hai, kyu ki ye rasta tariqat say hum anjan hai jo janta hai wo kamil peer hai uski rehbari har lamha zaroori hai...

@ dars gahe hazrat fazle rehma (rehmatullah alaih)

Pls visit : hazratfazlerehman.com

ab koi ye kahay ki peer shaitan ki shakl main akar bashrat deyga kitni nadani wali baat hai, jo ye kehta hai jaan lo wo khud peer e kamil ki azmat say anjan hai...ek peer hi to hai jisay hum jantay hai wo to hmko batanye wala hai ki kaun kya hai, sahi galat ki pehchan karnay wala rahnuma hi peer hai, kyu ki wo manzil tak pahuch chuka hai aur hum musafir hai..

@ dars gahe hazrat fazle rehma (rehmatullah alaih)

Pls visit : hazratfazlerehman.com

hazrat junaid baghdadi ka wakya hai unkay ek mureed bohat badi badi bahsrat dekhtay thay aur khud ko apnay peer say bada samjnay lagay tha aur peer sahab ka pass jatay bhi kum thay.. Hazrat par sara mamla zahir tha ek din rastay m dono ki mulaqat hui apnay kaha kya miya bohat badi badi bashart dekh rahay ho jannat main baday aish aur aram say mazay kar rahay ho...wo mureed nay kaha gi hazrat karam hai maula ka apnay pucha ki kya us mehfil main hum kahi nazar atay hai us nay kaha nahi to aap nay kaha aray bewakof wo mehfil tere liye shaitan saja raha hai jis mehfil main peer na ho waha na jaya kar....is baat say sabit hota hai ki shaitan kabhi peer ki shakl ikhtiyar nahi kar sakta....han ye zaroor hai jo bhi aisi baat kehtay hai uskay liye shaitan zaroor mehfil saja raha hai.

@ dars gahe hazrat fazle rehma (rehmatullah alaih)

Pls visit : hazratfazlerehman.com

MUREED KO PEER KI SOHBAT MAIN KIS TARAH REHNA CHAYE

Har Mureed ko apni peer kay samnay in batao ka khayal rakhna chaye:

1) khud ko murda samjhna chaye jo apnay peer kay hatho ka mauhtaj ho jis taraf chaye peer mod dey.

2) Hamesha ye khayal rahay ki peer ki khushnudi aur raza dar haqiaqat Allah ki khushnudi aur raza hai.

3) Apnay peer ko har awliya say behtar jano yaha tak ki ye soch ho ki mera peer hi is waqt ka gaus e zama hai.

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi rehmatullahi alaih.

Pls visit: hazratfazlerehman.com

4) Kisi buzurg say bhi faiz hasil ho par tumko ye yakeen hona chaye ki ye karam mere peer ki taraf say hi hain aur wahi nawaz raha hai, shakl dusri hai hath usi ka hai.

5) Apnay biwi bachay dhan daulat nafsani khawishat ho ya roohani khawishat har cheez apnay murshid par qurban karnay ko tayar raho.

6) Agar dekho ki koi fail peer ka tumhari samjh say bahar hai to us cheez ki mukhlaifat mat karo aur ye khayal karo ki tum us layak nahi jo peer ki is masliyat ko samjho.

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi rehmatullahi alaih.

Pls visit: hazratfazlerehman.com

7) Agar koi hawa main udta hua bhi dikhye day to uskay liye apnay peer ko chod kar us kay pass na jao, siwaey rusvai kay kuch hasil nahi hoga.

8) Apnay peer ki sohbat main awaz buland mat karo na khud say baat karo jab tak peer na puchay ya kahay.

9) Har mureed par lazmi hai ki wo apnay peer par puri tawajho rakhay, uskay cherey ko mohabat bhari nigah say dekhay aur us shaql ko khud main utarnay ki koshish karay.

10) Peer agar koi sawal karay to uska bohat adab say jawab dey.

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi rehmatullahi alaih.

Pls visit: hazratfazlerehman.com

11) Apnay peer ki kapdo ki, aulado ki, baithanay ki jagah ki yaha tak ki jis sehar main wo rehtay hai un galiyo ki tazeem karay.

12) Peer jo karanay ko kahay kabhi palat kar sawal na karay ki aisa kyu karna hai adban unkay hukum ki tammer ki jaye.

13) Peer ki gaddi ya masnad par peer ki gair hazari par na baithay.

14) Apnay peer ki biwi ko apnay nikah main na lay peer kay parday kay baad. Kyu ki peer rohani baap hai aur unki biwi apki maa hui.

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi rehmatullahi alaih.

Pls visit: hazratfazlerehman.com

15) Agar peer hayat hai to apnay peer ki tandurasti sehat kay liye dua karay agar wafat pa chukay to zyda say zyda fateha aur darood padhkar unki bargah main pesh karay.

16) Peer jisko dost manata hai usko apnay dost manao aur unkay dushman ko apna dushman.

Allah aur Rasool (sal lal laho tala alaihi wasalam ) kay bad agar koi hai to apka peer hai ye soch hamesha kayam aur dayam rehni chaye.

Jab ye khayal pukta ho jayga to apko Allah, Rasool sal lal laho tala alaihi wasalam ) aur kamil Awliya Allah ki taraf say gaybai madad hasil hogi. Aur aap ki rohani taraqi bohat jald hogi.

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi rehmatullahi alaih.

Pls visit: hazratfazlerehman.com

 

RAMZAN KI HAQIQAT

MashaALLAH ramazaan sharif agaya hai, har saal ki tarah hum sab rozay rakh rahay hai, bina ramzan ki haqiqat ko janay ki ye mahina kis liye aya wajah kya thi aur kya sikhana tha is mahinay say, zyadar tar log roza rakh to letay hai par rozay ki haqiqat sat ghafil rehtay hai, roza sirf peat(stomach)  ka nahi ki bhokay rahao balki jism kay har aza ko roza  rakhan hai, na hamari zaban jhoot bolay, chugli karay, galiyan dey, na ankh bura dekhay, na kaan kisi ki gibat sunay gali galoch sunay koi bhi buri cheez sunay, na pair kisi galat jagah jaye, na hath koi galat kam karay yahan tak ki soch mai bhi pakezgi ho to ye roza hua muqamal, par hum ye sab nahi kartay huwey sirf bhukay reh letay hai aur magrib main itna zayada kha letay hai ki namaz bhi ada nahi ho pati.

ALLAH ko aisa rozay ki zaroorat kya hai jab tak hum rozay ki azmat aur hikmat nahi samjhay gay humko rozay ki haqiqat hasil nahi hogi, Ramzan haqiqat main sehri aur iftari ka naam nahi hai, Ramzan main " Ram" say murad reet hai, arab main reet ko ramal kehtay hai..aur  "zaan" yani garmi jo aag nikalti hai reet say, bhook ki garmi ka ehsas panne ka naam haqiqat main ramzan hai...bhukey ki bhook ka ahsas hona nafs ko mazay aur lazat say door karna ka naam ramzan hai, hum to dastarkhwan par rozay kay baad itni sari neemat khaletay hai jiska hisab nahi, aur din bhar so kar ya aram kar kay guzar detay hai mai ye nahi karta ye sab aisa kartay hai par zyada tar ka haal yahi hai, beshaq ye rab ka karam hai ki wo humko khilata hai par hamara ye farz hai ki hum uski hikmat ko samajhay aur garebo ko apnay sath shareeq karay unko khilaye na ki sirf ramzan kay mahinay par pura saal...aur hum bhi taqwa ikhtiyar karay aur nafs ko isi tarah rakhay jaisay ramazan main rakhnay ka hukum hai, asal main humko apni nafs ko lazaato kay fareb say bhooka rakhna hai, jo bhi uski khawaishat hai usko tarq karna hai, har aram ko tarq karna hai, roza andar aur bahar dona ka hona jab ye baat ayegy to nafs kamzor hogy aur ibadat main lazzat paida hogy, dil kareyga ki sajda lamba ho kaqam lamba ho, rab kay deedar ki talab bhadeygy kyu ki nafs hi parda hai banday aur rab kay beech,  par hum main ye sab batay nahi aty kyu ki hum sirf zahiri rozay main aur wo bhi peth(stomach) kay baki azay to fareeb hi de rahay hai, isliye jo upar likha hai agar us par amal kiya to ye hoga asal ramzan ka roza, agar ap ki zindagi ka har saal ramzan kay mahinay ki tarah guzra to halate parday kay waqt jab rooh niklegy to apki haqiq eid hogi, wahi asal eid hai jab mehboob ka deedar hoga,  Ahle Tariqat  ko , sufi faqeero ko is wajah say sari zindagi rozay main guzarnay ka hukum hai taki wo sirf ek mahina nahi balki sari zindagi roza rahay na sirf peat ka balki har aza ka aur nafs ko kabu main rakkhay yahi tariqat ka wazu hai jisnay isay kamay rakha haqiqatan eid uski hai......umeed hai aap sab ko meri baat samajh aye hogy.

To is ramzan ahad karay ki hum agar pura saal nahi to kum say kum ye ek mahina aisa roza rakhay jo hamaray rab ko razi karlay ameen suma ameen.

 

@ dars gahe e hazrat Fazle Rehma

 

Plz visit hazratfazlerehman.com

ALLAH KI PEHCHAAN

Allah rabul izzat ka bada fazl hai ki usnay hamay adham say wajood main laya, adham say wajood main kyu laya, qablay kun matlab kun say pehlay wo yakta tha, us waqt kuch na tha wo tanha tha akela tha "kuntu kanzan makhfiyan" wo chupa hua khazana tha, usay shauq hua kis cheez ka shauq, ye ki main pehchana jaun. 

@ dars gahe Hazrat Fazle Rehma rehmatulahey alaih

Plz Visit : hazratfazlerehman.com

 Apnay aap ki pehchan karaney ka,  to usnay humko adham say wajood main kyu laya taki hum usko pehchanay. Hum ko sari kaynat ko saray alam ko banaya is ek maqsad say ki hum uski marefat ko hasil karlay uski pehchan ho jaye. To usnay apni pehcahn karany kay liye ye sara alam ko, is kaynat ko banaya.

Ab is dunya main anay kay bad agar hum uski marefat aur pehchan nahi rakhay to hamaray bhejnay ka maqsad bekar hua, jab ki hum uski rab honay ki pehcan alam e arwah main  jab usnay sari ruho say gawahi li "alastu bi rabbikum"  kya main tumhara rab nahi hu, ye wada kab liya jab adam ka wajood bhi nahi hai zaheri sirf rooh thy sab logo ki, tab usnay apni pehcahn karaye iqrar karaya apnay rab honay ka, humnay bhi kaha " kalu bala" beshaq tu hamara rab hai.

@ dars gahe Hazrat Fazle Rehma rehmatulahey alaih

Plz Visit : hazratfazlerehman.com

Ab hum iqrar karkay jab is duniya main aye to apna kiya hua wada bhool gaye dunya kay dal dal main phas kar hum apni jaan par zulm kar baithay aur hamara rab kaun hai uski iqrar aur pehchan say mehroom hogaye, khuda parast kay bajaye hum nafs parast hogaye aur nafs ki hi parishtish main lag gaye, jaisa nafs nay chaha waisa kartay kartay ujalay say andherey ki taraf chalegyae. Is wajah say hi kaha gaya hai " man arfaha nafsahu faqad arfaha rabahu"  matlab jisnay apnay nafs kay fareeb ko jana usnay apnay rab ko jana, kyu jaisay hi hum apnay nafs kay fareeb say bahar ayengay rab ko pa lengay. 

@ dars gahe Hazrat Fazle Rehma rehmatulahey alaih

Plz Visit : hazratfazlerehman.com

Duniya main anay ka maqsad sirf itna hai ki marefat e ilahi hasil ho aur marefat e ilahi ilm say ati hai isliye ilm sikhana har saqsh par farz karar diya aur kaha gaya ki agar ilm sikhnay kay liye cheen(china) tak jana paday to jao, ab ye kis ilm ki baat ki gaye hai ye dunyawi ilm nahi balki wo ilm jisay allah ki marefat uski pehchan hasil ho wo sikho ab wo sikho gay kaisay jaisay har ilm kay liye koi master ki zaroorat hoti hai to ye to Allah ki marefat uski pehchan ka ilm hai kya ye ilm bina kisi master kay ata kardiya jayega, bilkul nahi, kuch nadan sochtay hai ki ye ilm khud ba khud ajata hai kisi kay pass jakar sikhnay ki zaroorat nahi hoty hai, agar ye apki soch hai to sach much ap khasaray main.

@ dars gahe Hazrat Fazle Rehma rehmatulahey alaih 

Plz Visit : hazratfazlerehman.com

Allah nay is ilm kay khazanao ko apnay swalaehn, siddiqin, awliya allah ki jamat ko ata kiya, Allah farmata hai ki agar tum chatay ho ki meri pehchan aur marefat pao to ilm walo kay pass jao, ye ahle ilm bhi hote hai, ahle zikr bhi, ahle khabar bhi. Inki sohbat main pahucho gay to wo ilm mil jayaga jisko hasil karnay ka zikr quran aur hadees main aya. Jo shaqsh allah ki marefat walay ilm say bekhabar hai wo murada hai kyu ki wo apnay waday ko bhoola hai, aur hadees pak main aya hai jo zakir hai hai wo zinda hai aur jo gafil hai wo murada hai, peer e kamil usi bolay huwey waday ko yaad dilatay hai aur uskay murada qalb ko zakir bana detay hai…jab tak ALLAH kay zikr uski maujood gi ko khayal main, sans main, qalb main, wajood main nahi basa logay usay gafil hi rahogay… Peer ye basaya kaisay jata hai wo tarika sikhata hai, basharte peer ko khud pata ho, ye hunar kamil peer kay pass hi hota hai aur wahi ata kar sakta hai.

Par afsosh aaj aisay asal kum hai sab apni dukan chala rahay hai.

 

@ dars gahe Hazrat Fazle Rehma rehmatulahey alaih

 Plz Visit :hazratfazlerehman.com

ISHQ E PEER MAIN SACHA HONA

Hazrat Nizamudin Awliya kya be hisab mureeden aur khalifa thay, un khalifao main say kuch Hazrat amir khusru rehmatulahey alaih say jaltan rakhtay thay, kyu ki wo nizamudin awliya kay sab say cahahetay thay, ek din sab khulfa sath main jarahay thay, rastay main ek bacha dikha nizamudin awliya nay uspar hath phera aur agay chal diye, baki kay khalifaon nay bhi peer ki sunnat ko jankar, us bachay par hath pehra siwaey ameer khusro kay, kuch khalifa dil main unko bura bhala kehnay lagay ki bada ashiq hai peer ki sunat ko nahi apnata aur ishq ki baat karta hai,

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganjmuradabadai rehmatulahey alaih.

Pls visit: hazratfazlerehman.com

hazrat nizamudin awliya par sab haal zhir tha aap, sidhaey ek lohar ki dukan main chalegaye, wo loha pith raha tha,apnay garam garam loha ko hath say uthaya aur chum kar rakah diya, ab kisi khalifa ki himat nahi hui us garam lohay ko chumnay ki, hazrat amer khusru pichay say aye aur us lohay ko utha kar chumliya aur kaha ki mitha mitha khalo aur kadwa chod dey ye ameer khusru nay nahi sikha....aaj zyda tar mureedo aur khalifao ka hal isi tarah hai jaisay us daur main tha, jo mitha kharahay kadwa chod rahay hai.....us waqt bhi jo log sirf mitha kharahay thay wo aam mureed amm khalifa bankar rehgaye, jinka aaj koi naam tak nahi janta... kamyab wahi hua jisnay kadway ko apnay... aaj isi lafzi mohabat ki wajah say koi ameer khusru nahi ban paraha.

ALLAH humko apnay peer ka sacha ashiq banaye, aur jo rasta unsay milay hai jo ki haqiqatan sirat e mustakeem hai aur un logo ka rasta hai jin par inam hua, us par sabit kadam chalnay wala banaye.... ameen suma ameen.

 

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganjmuradabadai rehmatulahey alaih.

Pls visit: hazratfazlerehman.com

KYA WAKYE MAIN HUM SACHAY MUREED HAI?

Ek sawal aya hai zehan main ki hum sab kamil peer ki talash main rehtay hai bohat kum par ye karam hota hai ki usay kamil peer milay agar jisay miljaye jaisay hamaiy mila to kya hum kabil mureed banay ya nahi thodi gaur o fikar kijyega.... peeri muredi aur bayat sirf akhirat main peer jannat main lejayga isliye nahi hai.... bohat gehra taluk hota hai peer ka mureed say agar samjha jaye to...

@ Dars Gahe Hazrat Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rehmatulahey alaih)

Pls visit: hazratfazlerehman.com

Peeri muredi dua or taweez likhanay ya bhoot paret ya jadu karadiya is kay chakar main padkar barbad honay ka naam nahi hai balki rahay haq ka musafir bankar manzil e maqsood tak pahuch kar khud ko abad karnay ka naam hai...rab ko pehchanay ka naam hai hum sirf naam say jan rahay hai ki ALLAH hai par uski pehchan nahi hai ki wo kaisa hai kahan hai uski pehcna sirf kamil peer hi kara sakata hai, ab hum khud andaza lagaye hum talib kis cheez kay hai agar duniya kay to wo to mil hi jaygy asal maqsad bayat ka peeri muredi ka talab e maula jagay aur usko pehcan liya jaye to baat hai.....aur talab e maula jagayega kaun jo khud maula tak pahuch chuka ho, jo khud pechanta ho wahi pehchan kara sakta hai...ALLAH nay ye kaynat ko banaye hi isliye ki wo pehcna jaye. par hum na jaan rahay hai na pehchan rahay, asliyat main ye pechan bohat kum ko naseeb hui hai aur jisko naseeb hui wo hi inam yafta bando main shamil hua....

@ Dars Gahe Hazrat Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rehmatulahey alaih)

Pls visit: hazratfazlerehman.com

Aaj to har aeyra gayra peer bana baitha hai, tasawuf ki rastay say door door taq wakif nahi, wo logo ka rushdo hidayat ka markaz bankar baitha hai, agar aap galty say aisay pero ki sohbat main hai jo sirf nazranay aur dua taweez taq mehdood hai aisay peero ki sohbat main rehkar kabhi haq taq nahi pahuch paeygy...sirf bhid ka hissa ban kar reh jaygy...isliye falh chaty ho to kisi marde haq ki talash karo aisa hi kisi kay hath main hath na dedo.

khud ki pechan kay liye banaya sabko...sabki nazrao magar khud ko chupa rakha hai....jab tak pehchanogy nahi ibadat kaisay karogy.

@ Dars Gahe Hazrat Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rehmatulahey alaih)

Pls visit: hazratfazlerehman.com

ZAROORI NUKTA

Aaj kay duar main jahan peeri muredi ek fashion bangaya hai aur har peer kamil honay ka dawa kar raha hai aisay main mureed kay liye badi duswari hai ki wo kisi sohbat ikhtiyar karay, aj kamil peer ki sohbat mil jana sach main rab ki taraf say bohat bada karam hai, agar kamil nahi bhi milta kabil hi miljaye to usko sab kuch samjh kar phir kisi ki taraf nahi dekhna chaye kyu ki har kabil kabhi na kabhi kamil banta hai. Hum jab apnay peer ki sohbat main ho tho mureed ko lagna chahaiye ye aam insaan nahi ilm ka samandar saath chal raha hai tab fakr hotha hai ishq badtha hai ....aur ehsas hotha jis rab ko mai pujta hu yehi uska mehboob hai .....rab kis ko chahe hum usko na chahe ...ye kaisa ishq hai .....aur chahat apne hi maa se zaruri hai dursooo ki maooo ka chahnay se haq adaa nahi hotha ye baat mureedo ke samajne me aani chahaiye jiske haath imaan diye ho kalma pare ho wohi kal ki maa hai.

@ dars gahe hazrat fazle rehma (rehmatulahi alaih)

Plz visit hazratfazlerehman.com

per mureed dar ba dar gum rahe hai dusri main kay pass jarahay hai sikhnay padhnay apne peer ko chorkar aaj to mureed kya khalifa jarahay hai apni maa ko chodkar kya koi dusri maa us tarah apna sakegy usko nahi bilkul nahi na us tarah pyar de sakygy...sagi ma to sagi hoty hai....paida karnay wali ma ka haq sab say zyda hai ham agar peer ka parda hogaya to parvarish dusri peer ki sohbat main ho sakty hai wo bhi tab jab peer say sabak nahi mila sohbat nahi mili to talib ho shakte hai iski izazat hai par sirf khilafat jama karnay kay liye ya sirf is wajah say ki mera peer kuch janata nahi usay chod kar kahi aur jana galat hai...kaye mureed aisay guzray hai jin honay apnay peer ko wali bana diya.

@ dars gahe hazrat fazle rehma (rehmatulahi alaih)

Plz visit hazratfazlerehman.com

jo log bhi peer ko chodkar dusray khankao ki khaq chan rahay unko haqiqat main khaq say siwa hasil kuch nahi hota kyu ki milta kahi say bhi tab hi hai jab marzi peer ki ho....kaye baar aisa bhi hota hai ki agar peer na kabil ho na kamil ho, par apni talab main haq ko panay ka khwaish mand ho to wo khud aisay ki talash main rehta hai jo usko wahan tak pahucha dey, sab say main cheez hai apki talab kya hai rab ki pehchan to sirf wahi de sakta hai jo khud janta ho.

Is wajah say agar ap kahi aisi jagah bayat hai jahan sirf bayat kay naam par lota jaraha ho, peer khud ko khuda bata raha ho aur apni hi chakri main laga kar rakha ho aur apki rohnaiyat main koi farq nahi araha ho na ibadat main zauq aur shauq paida horaha hai to samjahye ki wrong no hai aisay peero say kanni katye aur haq walay ki talash kijye.

@ dars gahe hazrat fazle rehma (rehmatulahi alaih)

Plz visit hazratfazlerehman.com

KYA MAIN KHWAJA GAREEB NAWAZ KO PEER MAAN SAKTY HUN?

EK BEHAN SAY SAWAL KIYA THA USKA ASAN JAWAB DENE KI KOSHIH KI HAI, TAKI AAP LOG BHI PADHLEY AUR AGAR KOI AISI KHWAISH RAKHTA HAI TO SAMAJH JAYE.

 

SAWAL:

For me my peer is Khwaja Gareeb Nawaz..mein unhi se mureed banna chahti hun..
how can this be done..please suggest me..

i have not taken bayth till now and i can do bayth only on hands of khwaja gareeb nawaz.. can i take the bayat by holding the chadar mubarak of his blees mazar shairf.

JAWAB:

Apne likha hai ki aap Hazrat Khawja Sahab (rehmatullah alaih) Se Bayat lena Chati hai jo ki bohat achi baat hai, ye baat beshak apka ishq Hazrat Khawja Sahab (rehmatullah alaih) se zahir karti hai, Par aj bohat se deewane aise hai jo Hazrat Khawja Sahab (rehmatullah alaih) se hi mureed hona chate hai. Par kya ye cheez wakaye main mumkin hai. 

Main sab se pehle is baat par roshni dalna chaunga ki bayat ke 2 kismain hai jo maine apne Ustad se suni hai:

1) Bayat Zaheri  

2) Bayat Roohani

1) Bayat Zaheri  : Is bayat main apko kisi kamil peer ke hath pe hath rakh kar bayat karna hota hai, aur apne peer khi khidmat aur unhone jo tarika, zikr bataya hai us par chal kar apni roohaniyat ko bhadna hota hai, Ye tarika zyada tar log follow karte hai.

2) Bayat Roohani : Is bayat main apka ishq kisi bhi shaksiyat se be hisab hona chaye agar sahabe hasti chahe to ap ko roohaniyat main, zaheri main  bina mulakat kiye apko bayat kar sakte hai, par aisa bht kum hota hai, Ye bayat ka silsila Hazrat Owais kharni(RadiAllah anhu) se suru hua tha, ye silsila ishq hai aur ismain kamyab hone ke sirf ek tarika hai bepanah ishq.

 

@ dars gahe Sarkar Fazle Rehma Ganj Muradabadi(rehmatulahi alai)

Pls visit: hazratfazlerehman.com

Ab apke baat par ate hai apne kaha hai ki  Hazrat Khawja Sahab (rehmatullah alaih) ki mazar shairf ke chadar pakad kar mureed hona chati hai to sister shariyat is cheez ki bikul ijazat nahi deti hai.

Agar sab log aise hi bayat karlete kisi bhi buzurg ke mazar ki chadar pakad kar to aj sab log masjid-e-nabi jakar Hamare Aqa (sal lal laho tala alaihi wasalam) ki mazar shairf pakad kar bayat le lete bich main kisi buzurg ki zaroorat nahi hoti.

Aise chezain admi mohabat main sochleta hai aur maan leta hai ki main in buzg ka mureed hun ya fala buzurg ka mureed hun, Par hakikatan wo murred nahi hota hai, ek baat yad rakheye jab tak ap apna hath kisi shaksiyat ke hath par nahi denge tab tak mureed nahi honge.

Sohbat-E-Peer bohat zaroori hai agar aise hi baat hoti to Huzoor Gaus-E-Pak(RadiAllah Anhu),  Hazrat Khawja Sahab (rehmatullah alaih), Hazrat Fazl-E-Rehman(rehmatullah alaih), Hazrat Makhdoom Shah Mahimi(rehmatullah alaih) aur degar buzurgane deen directly Huzoor Pak(sal lal laho tala alaihi wasalam) ke mazar shairf ki chadar  pakad kar bayat lete unko kisi peer ki kya zaroorat thi.

 

@ dars gahe Sarkar Fazle Rehma Ganj Muradabadi(rehmatulahi alai)

Pls visit: hazratfazlerehman.com

Par hamare peshwaon ne aisa nahi kiya jinko hum Apna rehbar mante hai to hum kaise kar sakte hai.

Maula Room(RadiAllah Anhu) ne ye niche likhi huyl line aise hi nahi likhi, Hazrat Shams Tabrez (RadiAllah Anhu)  ne wakaye main unko Maulvi se Maula aise hi nahi bana diya ye sohabt ka asar tha,  Aaj unki Masnavi koi sajmah kar padhle to Abdal Ban jaye.

"Maulvi hargis na shud Maula e Rum

Ta ghulame Shams Tabrizi na shud"

Maulana (religious teacher) Rumi could never have become Maula Rumi (Spiritual Guide)

Without submitting to Spiritual Guide Shams Tabrez.

 

Ilahi taaboowad Kursheed-o mahey Chiragey chistiya ra roshnaee

Hazrath Khwaja Qutubuddeen Baktiyar Kaki Radi Allahu anhu narrates that his murshid said,"That look at the face of one's murshid is recorded as an Ibadat".He further states that Khwaja Gareeb-e-Nawaaz Radi Allahu anhu said,Khwaja Usman Harooni says that,'Whoever serves his murshid dutifully for a day,Allah will bestow upon him one hundred palaces in Jannat and in his book of deeds will be recorded 100 years of sincere Ibadat".

Khwaja Gareeb-e-Nawaaz Radi Allahu anhu further says that,"There was one a very pious person who made Ibadat to Allah for about 100 years.He used to fast during the days and perform Ibadat during the night.Notone breath of his was wasted,away from Allah's worship.

When he passed away,a person saw him in his dream and asked him,'How has Allah treated you?

'He said,'Allah has forgiven me'

He was then asked,'what action of yours pleased Allah?

'He said,'I have spent my entire breath and all my time worshipping Allah but this did not please Allah,but one thing that pleased Allah which became a means of me earning Allah's pleasure,was that I served my murshid dutifully".

 

Khwaja Qutbuddin Kaki Radi Allahu anhu states that his Murshid,Khwaja Gareeb Nawaaz Radi Allahu anhu states:"Whoever has attained anything,achieved it through service and it is compulsory upon the mureeds that one should not go against the commands of the murshid even to the size of an atom and whatever salaah and wazifa the murshid has given should be read accordingly so that the mureed may attain some spiritual perfection because whatever the murshid commands it is for the benefit of the mureeds".

@ dars gahe Sarkar Fazle Rehma Ganj Muradabadi(rehmatulahi alai)

Pls visit: hazratfazlerehman.com

Khauf aur Mohabbat

"Bada khaas nuqta hai aaplogo keliye, ye jo hum Ahle Sunnat hain aur Aashiqan-e-Rasool ke dawedar hain, kehlate hain, sirf khaas taur par aapke liye fir agla hissa unke liye jo Ishq ka daawa nahi karte. 

Aulia ne Farmaya jo sirf Tarik e Muhabbat se  Allah ki Marifat tak jaana chahe aur Allah ke Khauf ke Tarik ko chod de, khauf ke tarike ko chod de kahe sirf Tarik e Muhabbat chahiye, wo halaak hojayega! 

Hamare yahan Khauf e Ilahi ka koi sabak nahi hota, ya Muhabbat ka fakat sabak hota hai ya raja ka sabak hota hai ummid ka. Imaan "Baynar Rajaye wal Khauf hai" ye aitedal hai, Imaan naam hai ke ek haath me Allah ke Khauf ka Daaman pakda ho ek haath me Ummid ka Daaman pakda ho. 

Sayyeduna Siddiq-e-Akbar RadiAllahu Ta'ala Anhu, Ye bhi sab Aulia, Sahaba to they he aur Sahaba to Aaimma e Aulia hote hain yaani kul ummat ke Aulia milkar bhi Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Ashabihi wa Baarak wa Sallam ke Sahabi ke Darje ke barabar nahi hosakte, wo ek alag baat hai, magar batana chahta hun ke wo Tamam Sahaba jo Huzoor ke bahot Kareeb they Jinke Martabe Buland they Wo Sahibaan-e-Wilayat they. 

Sayyeduna Siddiq-e-Akbar RadiAllahu Anhu Farmate hain: Khauf ka muqaam ye hai ke agar Qayamat ke Din Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki saari ummat me se ye faisla hogaya ke sirf ek shakhs ko dozakh me dala jayega baaki saari ummat baksh di jayegi, sirf ek shakhs Huzoor ki ummat me se dozakh me jayega, to Mujhe dar hai ke kahi wo Mai he na hun. Sayyeduna Siddiq e Akbar RadiAllahu Anhu ye Muqaam e Khauf tha!

Aur saath Muqaam-e-Raja (Ummid) kya tha, farmate hain agar ye khabar mile ke Qayamat ke Din Huzoor ki Ummat me se sirf ek he shakhs Jannat me jayega to Mai Ummid rakhta hun ke shayad Allah Mujhpe Karam karde! 

 

Ye khauf ka aalam ye ummid ka aalam!

Muhabbat se Ummid paida hoti hai, Khauf se khashiyat paida hoti hai. 

To farmaya ke jo khauf ki raah ko chodkar sirf Tarik e Muhabbat se jana chahe wo halaak hogaya.

Aur dusri taraf farmaya ke jo sirf Tarik e Khauf se jana chahe aur Tarik e Muhabbat chod de, ab ye aur logo keliye jo sirf khauf ki baat karte hain Muhabbat ki baat nahi karte. To farmaya jo Tarik e Muhabbat chod de aur Tarik se Khauf se fakat jaana chahe, farmaya wo wehshat ki ghaati me girakar kaat diya  gaya!

To fir bacha kaun? 

Farmaya: Jo Khauf aur Muhabbat ko ikhatta rakhke Uski Marifat ki taraf jaana chahe, Allah usko Mehboob bana lega. Allah usko Kareeb karlega, Allah usko ek maqaam par mutamakkin kardega aur Allah usko ilm-o-Hidayat aur Noor aue Marifat ata kardega."

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Ashabihi wa Baarak wa Sallam

Pls visit: hazratfazlerehman.com

WEHDATUL WAJOOD

"Jab Ke Tujh Bin Nahin Koi Maujood

Phir Ye Hangama Aye Khuda Kya Hai"

ALLAH KAY SIWAEY SARI KAYENAT MAIN KISI KA WAJOOD HI NAHI HAI, HAR SHAY USI KA WAJOOD SAY HAI, WO TAB SAY HAI JAB KUCH NAHI THA AUR TAB BHI RAHEYGA JAB KUCH NAHI HOGA...JAB KHUDI KA PARDA HATHAY GA TO HAR SHAY MAIN WAHI NAZAR AYEGA.

HAR SHAY USI KI ZAAT SAY AUR USI KI ZAAT MAIN FANA HOJAEYGY.

WA AWALIYAT SAY BHI PAAK HAI, AWALIYAT KO HAD HAI AUR AKHIR KO BHI HAD HAI WO SARI HADO SAY PAAK HAI.

YE TASWEEREY MISAL HAI KI AISI KOI SHAI NAHI JISMAY WO MAUJOOD NAHI HAI...ISI KA NAAM WEHDATUL WAJOOD HAI...HAR WAJOOD MAIN USKI HI WEHDAT HAI.

@ DARS GAHE HAZRAT FAZLE REHMA GANJ MURADABADI (REHMATUL LAHI ALAIH)

PLS VISIT: HAZRATFAZLEREHMAN.COM

HIND NAAM HAMARE WATAN KA KAISE HUWA IS PER TAFSEELAN GUFTUGU

 

Nooh AlaihisSalaam ke zamaane me jo toofaan saari dunya me aaya usme koi insaan na bacha, Nooh AlaihisSalaam ke saath 40 mard aur 40 Momin auratein bachi aur apke 3 bete Saam, Yaafis aur Haam (سام، یافث اور حام).

Toofaan ke ba'd Hazrat Nooh ne apne 3no beto ko kheti-baadi aur kaarobaar waghaira ka hukm dekar dunya me idhar udhar bheja.

Pls visit: hazratfazlerehman.com

Saam Hazrat Nooh ke bade bete aur apke jaa-nasheen they. Inke beto ki ta'daad 99 thi, jinme Arshad, Arfakhshad, Kay, Nood, Yood, Iram, Qibt, Aad aur Qahtaan mash-hoor hain. Aur Arab ke saare qabeele inki hi nasl se hain. Hazrat Hood, Swaaleh aur Ibraaheem AlaihimusSalaam ke nasab ka silsila Arfakhshad tak pahunchta hai. Arfakhshad ka 2sra beta Kaymooras Ajam ke baadshaaho ka mooris-e a'la (pahla baap) hai. Kaymooras ke 6 bete they, Syaamak, Iraaq, Faaras, Shaam, Tora aur Damghaan. Syaamak baap ka jaa-nasheen huwa. Aur baaqi bete jis jis jagah gaye us jagah ka naam unke hi naamo par rakha gaya aur wahaan unki hi aulaad aabaad huwi. Syaamak ke bade bete ka naam Hoshang tha, ajam ke saare baadshaah Yazdjard tak iski hi aulaad se hain.

Pls visit: hazratfazlerehman.com

Hazrat Nooh ke 2sre bete Yaafis apne waalid-e mohtaram ke kehne par Uttar aur Purab (North and East) ki taraf gaye aur wahaan hi aabaad ho gaye. Inke bahut se bete huwe, jinme sabse mash-hoor bete ka naam Turk tha. Turkistaan mein saari qaumein ya'ni Mughal, Uzbek, Turkmaani aur Iraan ke darya paar waale Turkmaani inki hi aulaad se hain. Yaafis ke ek aur mash-hoor bete ka naam Cheen tha, Cheen (China) ka naam inke hi naam par hai. Inke ek aur bete ka naam Aardes hai, Iski aulaad shimaali (Uttari/Northern) mulko ki sirhad par Bahr-e Zulmaat (Atlantic ocean) tak aabaad huwi, Taajik, Ghor aur Saqlaab iski hi nasl se hain.

Pls visit: hazratfazlerehman.com

Hazrat Nooh ke 3sre bete Haam (حام) apne waalid-e giraami ke hukm se dunya ke Junoobi (Dakkhini/Southern) hisse ki taraf gaye aur usko aabaad kiya. Haam ke 6 bete huwe, jinke naam hain: Hind, Sind, Habsh, Ifranj, Hurmuz aur Boya. In sab beto ke naam par ek ek ilaaqa aabaad huwa. Haam ke sabse ziyada mash-hoor bete "HIND" ne Hindustaan ko apnaaya aur isko khoob aabaad aur sar sabz-o shaadaab (hara bhara aur khush-haal) banaaya. Inke 2sre bhai Sind ne Sind me qayaam kiya, aur Thath (ٹھٹھ) aur Multaan ko apne beto ke naamo par aabaad kiya. Hind ke 4 bete huwe, jinke naam ye hain: Purab (پورب), Bang (بنگ), Dakan (دکن), aur Nehrwaal (نہروال). Jo mulk aur shahr aajkal in naamo se mash-hoor hain wo inke hi aabaad kiye huwe hain.

Hind ke bete Dakan ke 3 bete huwe, Marhet (مرہٹ/Maraatha) Kannad (کنّڑ/Kannada) , aur Telang (تلنگ) .

Dakan ne apne mulk ko apne 3no beto mein baraabar taqseem kiya. Aajkal Dakkhini Hindustaan (South-West) India mein jo in naamo ki 3 qaumein hain wo inhi 3no ki nasl se hain. Hind ke bete Nehrwaal ke bhi 3 bete huwe, jinke naam hain: Bharuch, Kambaaj (Kaamobj) , aur Maalraaj. In 3no ke naamo par bhi 3 ilaaqe aur qaumein mash-hoor hain.

Hind ke bete "Bang" ke bahut si aulaad huwi, jinse Bangaal (aur Banglaasdesh) aabaad huwa. Hind ke 4the aur sabse bete Purab ke 42 bete huwe.

Taareekh-e Farishta - Urdu (Muhammad Qaasim "Farishta") : Page 31 aur 32

Pls visit: hazratfazlerehman.com

JAANO,PEHCAHANO, SAMAJHO

Irshad e baretala hai, ALLAH quran main fermata hai,

“Fa'lamannahu la ilaha illallah”

la ilaha illallah ko jano, sikho, kya sikho la ilaha illallah, is ayat par padhnay par zor nahi diya gaya hai, sikhnay samjhnay kay liye kaha gaya hai, koi bhi cheez sikhi kab jaty hai, jab koi sikhnay wala ho, direct kuch bhi nahi ata sikhanay wala chaye, farishatay noori makhllok hai par unko bhi sikhnay kay liye ustad ki zaroorat padi aur wo ustad azazeel(shaitan) tha, jab fasirshto ko bhi ustad kay bagair nahi ilm hasil hua to humko bhi sikhnay kay liye koi sikhanay walay ki zaroorat padti hai.

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi(rehmatulahi alaih)

Pls visit : hazratfazlerehman.com

Isliye ALLAH farma raha hai ki tum la ilaha illallah ko sikho, jab hum ko pata hi nahi laa kya hai, ilaha kya hai aur illallah kya hai to ye sab janay samjahnay bagair hum kamyab kaisay hogey humko jab taq samajh nahi ayegy ki padh kya rahay hai to tasdqi kaisay hogy, hadees e paak main hai “iqrarum bil lesani tasdiq bin qalb”, zaban say iqrar aur tasdiq bin qalab karna.

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi(rehmatulahi alaih)

Pls visit : hazratfazlerehman.com

Hum ye iqrar kaisa karna aur tasdiq kaisi ye janay kay liye samjany kay liye humko bhi ye fan sikhna hoga, samajhna hoga, ab ye kaun sikhaeyga, har fan ko sikhnay kay liye shagird ko ek ustad ki zarorat padti hai, school ho ya college ho, office ho ya ghar ho, har jagah ek ustad ki zaorat hoty hai, jaisay subjectl waisa ustad, ab ye ustad kaun hai jo humko ye hunar sikhayega to quran fermata hai,

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi(rehmatulahi alaih)

Pls visit : hazratfazlerehman.com

“Fas Alu Ahladzikri in kuntum laata'lamun”

Agar tum khabar nahi rakhatay hai to kisi zakir kay pass jakay pucho, wo tumhay ye hunar sikha deyga…ilm walay say sikho nahi kaha gaya, zakir say sikho, kyu ki jisay ilm hoga ye zarori nahi wo uska zikr bhi karta hoga.

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi(rehmatulahi alaih)

Pls visit : hazratfazlerehman.com

Isliye jab aap ahle zikr ki sohbat ikhtiyar nahi karengy aap sirf zabani padety rahengy, jab ki ALLAH khud keh raha hai ki kalmay ko janao samjho, isliye ye ilm sab kay pass nahi hai, khas ilm ALLAH nay khas logo ko ata kiya, ahle zikr ki talash karo kaun hai ye ahle zikr ye awliya ALLAH hai, jo har sans ALLAH kay zikr main hai, ye bekhabar logo main say nahi balki ba khabar logo main say hai, jo janatay hai ki La say kisiki nafi hai Ilaha say kya muraad hai aur illallah say kya, hum sab ko ye fan jo hamari nijat ka zariya baengya ye sukhna bohat zaroori hai, aap sab bhai jahan say bhi mureed hai apnay peer say puchye ki kya raaz poshida hai is kalmay main aur kaisa samjhana isko, aaj bohat say peer hai jo ye peer to bangaye hai par wo khud nahi jantay ki ye kalma hai kya wo bhi bus zaban say bina janay pad rahay hai, isliye khud andhere main hai aur jo unki sohbat main araha hai wo bhi andhere main hai…ALLAH hum sab ko kalmay ki haqiat say ashana karay aur kamyab karey…amen suma amen.

@ dars gahe hazrat fazle rehma ganj muradabadi(rehmatulahi alaih)

Pls visit : hazratfazlerehman.com

jo bhi bhai is post ko copy karay pura karey, bada ajjeb baat lagty hai kafi logo post copy kartay hai par us main say likhnay walay ki pehchan nikal detay hai, jab post itna pasnd aya hai to bhaiyo pura copy karo guzarish hai aap sab say.

@ dars gahe sarkar fazle rehma ganj muradabadi(rehmatulahi alaih)

plz visit : hazratfazlerehman.com